Wohi Rab Hai Jisne Tujh Ko Hama Tun Karam Banaya

Humein Bheek Maangne Ko Tera Aastaan Bataya 

Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya 

Tumhee Haakim-e-Baraya Tumhee Qasim-e-A’taya
Tumhee Dafa’e Balaya Tumhe Shafa’e Khataya 

Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya 

Woh Kunwaari Pak Maryam Woh Nafakhtu Feeh Ka Dum
Hai Ajab Nishaan-e-Azam Magar Aamna Ka Jaya 

Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya 

Yehi Bolay Sidra Walay Chaman-e-Jahaan Ke Thaalay
Sabhi Mein Chaan Daalay Tere Paaye Ka Na Paya 

Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya 

Arey Aey Khuda Ke Bandon Koi Mere Dil Ko Dhoondo
Mere Pass Tha Abhi tou Abhi Kia Hua Khudaya 

Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya 

Humein Aey Raza Tere Dil Ka Pata Chala Ba Mushkil
Dar-e-Rauza Ke Muqabil Woh Humein Nazr Tou Aaya
Ye Na Pooch Kaisa Paaya Ye Na Pooch Kaisa Paya 

Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya

No comments:

Post a Comment